in

Surah Ikhlas Ki Fazilat – Surah Ikhlas Parhny ke 10 Faiyde

Surah Ikhlas Ki Fazilat - Surah Ikhlas Parhny ke 10 Faiyde

Benefits of Surah Ikhlas

Today I am Shareing With you 10 Benefits of Surah Ikhlas .Aur iss ke Sath Surah Ikhals ki Fazilat Surah Ikhlas ka Wazifa aur Surah Ikhlas ki Barkat Share karon ga.Surah-Al-Ikhlas jo ki Qur’an-e-Pak ki ek sau baarvhee (112) Surah hai. Ye Surah At-Tawheed ke naam se bhi jani jati hai. Surah Al-Ikhlas, Surah At-Tawheed bhi kahlaati hai. Jaisa ke is Mubarak Surah ke naam, ‘At-Tawheed’ se hi zaahir hota hai ke is Surah mein ALLAH Ta’ala ki Tauheed bayan ki gayi hai. Yani ALLAH Tabarak Wata ‘Ala ki Wahdaaniyat bayan ki gayi hai.

Wahdaaniyat lafz ‘Wahid’ se nikla hai jis se muraad hai ‘Ek’, ‘Tanha’, ‘Yakta’. Pas Wahdaaniyat se muraad ALLAH ke Yakta o Tanha is puri kayenaat ke Khaliq o Maalik hone se hai. Aur yahi iqraar is Mubarak Surah mein kiya gya hai.

Surah Ikhlas ki Fazilat Hadees Shareef ke Hawale Se

Sau Saal ke Gunah Maaf

Hazrat Ibn Abbas RadiALLHU Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi Kareem SallALLAHU ‘Alayhe Wasallam ne irshad farmaya,

“Jo shakhs char (4) raq’aton mein do sau (200) baar, har raq’ah mein pachaas (50) baar Surah Ikhlas parhe ga to ALLAH Ta’ala uske sau (100) saal yani pachaas (50) agle aur pachaas (50) pichle saal ke gunah bakhsh dega.”

Agar ap apne tamam umr kr gunahon ki mu’afi chahte hain to ap ye nifl namaz parhne ka mamul bana lein. Insha ALLAH, ap ke tamam gunah mu’af ho jayen ge.

Surah Ikhlas ke Fawaid

Yeah Surah bohat hi afzal Surah hai. Is Surah ko parhne se bohat se fawaid hasil hote hain. Surah Ikhlas parhne se gunaho ki bakhshish bhi hoti hai aur pareshaniyan bhi dur hoti hain. Gham khatm hote hain aur dil ko rahat bhi milti hai. Jab zikr hi Us Paak Zaat ke afzal kalaam ka kiya jaye to savab kaise na mile, mushkilaat kaise na talein aur dil ko rahat o sukoon kaise na hasil ho. Beshak ALLAH Ta’ala ke zikr mein hi dilon ko sukoon milta hai.

Surah Ikhlas Ki Fazilat - Surah Ikhlas Parhny ke 10 Faiyde

Surah Ikhlas Ki Fayde 

    1. Din aur raat mein 200  Surah Ikhlas parhne se ALLAH Ta’ala ki raza o khushnudi hasil hoti hai.
    2. Raat ko sote waqt dahini karwat (seedhi taraf) par sau (100) martaba parhne se Jannat mein dakhila naseeb hoga.
    3. Ghar pahunchte waqt is Surah ke sath Surah Fatiha parhne se ghar mein khair o barkat hoti hai.
    4. Ghar mein dakhil hote waqt parhne se ghurbat o iflaas (ghareebi aur mohtaaji) ka khatma hota hai.
    5. Din ya raat mein sau (100) bar parhne se pachaas (50) saal ke gunah mu’af honge.
    6. Rozana do sau (200) martaba parhne se pandrah sau (1500) nekiyan mileingi aur pachaas (50) saal ke gunah bakhshe jayenge.
    7. Arfa yani 9 Zilhajj ki sham ko ek hazar (1000) martaba parhne se ALLAH Ta’ala ki rahmat nazil hogi.
    8. Ek hazar (1000) martaba parhna ALLAH Ta’ala ki raah mein lagaam lagaye gaye aur zeen kase hue ek hazar (1000) ghoron se mahboob tar hai.
    9. Maut ki bimari mein parhne se qabar ki aazmayesh se hifazat hogi. Aur Jannat mein jana naseeb hoga.
    10. Subah, sham teen-teen (3-3) martaba Surah Ikhlas, Surah Falaq aur Surah Naas parhne se har chiz par kafayet hasil hogi

Wazifa Pernay ka Treeqa

 Surah Ikhlas k yeah 10 Fawaid hasil kernay k liye Rozana 200 mertaba parni hai. Yeah wazifa aapdin k waqat yan raat k waqat b ker satay hein. Is wazifay ki berqat se aap k arizaq kushada hoga aur aap ki her jayez hajat puri ho gi.Ek chhoti si Surah parhne se kitna bada sawab aur kayi fayde. . Iski fazilat se mehroom na rahein.Allah Tallah hum sab ko Surah Ikhlas ki tilawat aur in fawaid se mustafid honay ki tofeeq fermaye. (Ameen)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *