Aaj hum aap k sath, her preshani se nijat ka wazifa share kernay jaa rahein hien.Yeah Qurani wazifa Har hajat ko pura karne ke liye Ayat-e-Kareema akseer hai. Agar aap koi bhi hajat rakhte hain jo ke halal hajat hai aur usko kisi bhi surat pura nahi kar pa rahe tou pareshan mat hon aur ye wazifa shuru karein. Insha ALLAH aapki hajat laazman puri hogi. Agar ap kisi bhi beemari mein mubtila hain aur sehatyaab nahi ho pa rahe tou pareshan na hon aur fauran ye amal shuru kijiye. Insha ALLAH , iski fazeelat se apki beemari dur ho jayegi aur apko shifa-e-kamala naseeb hogi.
Ayat-e-Karima Ki Fazailt, Ahmiyat Aur Barkat
Ye du’a har gham aur pareshani dur karne aur har jayez havuhish ko pura krnay ke liye bohat mujarrab du’a hai. Aksar buzurg ise har waqt parhte rahte hain.Tilawat ke savab ka dohra faydah hai. Hazrat Imam Jafar Sadiq RadiALLAHU Anhu farmate hain ke koi ranj-o-gham nahi jise dur karne ke liye ye ayat kafi na ho. yehi wo du’a hai jo Qur’an aur Hadees dono se sabit hai. Yehi wo du’a hai jis ne paighamber ko qaid-e-ghum se nijat dilayi.
Ayat e Kareema Dua ki Qubuliyat ke liye Mufid Amal hai.Agar ap koi bhi esi hajat rakhte hain jis ke pura hone ka ap be sabri se intezar kar rahe hain tou ye amal apki hajat puri karne mein bohat madadgar sabit hoga. Apki hajat bohat jald aur asaani se puri ho jayegi. Insha ALLAH.
Ayat-e-Kareema Pareshani Ranj-o-Gham Door Karne Ki Dawa
Har ranj-o-gham pareshani chahe to shadi ke masail ho ya kisi dusri tarah ki musibat. Ayat-e-Kareema se dafah kijiye.
Hazrat Sad Bin Abi Waqas Rehmatullah Alayh kahte hain ke Rasul ALLAH SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya ke
لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ
har ranj-o-gham ki du’a hai. Jo shakhs apni kisi mushkil mein parhega aur is Ayat-e-Kareema ke tufail se hajat talab karega. Uski du’a qubool hogi aur mushkil hal hogi.
Taahum, kisi bhi mushkil ya pareshani ki halat mein zayadah se zayadah is du’a ka wird karein. Insha ALLAH, apki pareshani aur ranj-o-gham hamesha ke liye dur ho jayenge. Ameen!
Ayat-e-Kareema ka wazifa
Aayat e kareema (لَآ اِلٰهَ اِلَّآ اَنتَ سُبحٰنَکَ اِنِّی کُنتُ مِنَ الظَّالِمِینَ) k wazif k I bohat fazilat hai, Q k is ka wazifa hud Allah ne Hazrat Younas (A.S) ko bataya, Is wazifay ki berqat se ne Hazrat Younas (A.S) ne 3 tareekiun se nijat pai.
Wazifa ka Tareeqa
Sab se awwal wuzu kijiye. Is k bad 2 raqat namaz e Taba adaa karien, Ab 360 mertaba Ya Hayeeyo Ya Qayum parne k sath yeah aatay kareema b perni hai.
Phir ALLAH Azzawajal se apni hajat talab kijiye. Rozana bila nagha 40 din ye amal kijiye.Awal-O-Aakhir Darude shreef(drude Ibraheemi) 1,1 mertaba lazmi parna hai.
Wazifa ke Mutlaq Zrori Baat:
Wazifa puray yakeen ke sath parna hai agr Yakeen main kami hogi tyo pher Wazifa parne ka koi be fiyde nahi hoga iss liye jo be Wazifa parne pury Yakeen ke sath parny Inshallah Zror Fiyda hoga.