Jumma ke din ka Wazifa for Hajat | Friday Special Wazifa
Jumma ke din Namaz e Asar ke bad ya amalkarne Powerful Wazifa for Any Hajat
in ,

Jumma ke din ka Wazifa for Hajat | Friday Special Wazifa

Jumma ke din ka Wazifa For Hajat | Friday Special Wazifa

Aslam u Alikum | Ajj mein app ke sath Jumma ke din ka Wazifa share karne ja raha hon.Agar app ki koi bohat bari haat hai.Jo pori nahi ho rahi tyo app Jumma ke din ya amal karne Inshallah app ki jitni bari he Hajat kyon na ho.Inshallah pori hojay ge.Ya ak bohat he powerful amal hai.Jo khas toor par Jumma ke din ka hai.iss amal ko khud be karne aur dosron ke sath Sadqa ke toor par be share karne.

Jumma ke din ka Wazifa for Hajat | Friday Special Wazifa

Jumma ke din ki Fazilat

Jumma ke din ko tmam dino par Fazilat hasil hai.Iss din ak asi gari hoti hai.Jiss ghar mein Allah se jo Dua mangi jay Allah osi dua ko kabool frmata hai.iss ke ilawa aur be bohat zyada fazilyaty hain.Jumma ke din Gusal karna aur wqat par masjid mein jany sy bohat zyada Swab milta hai.Jumma ke din DROOD E PAK ko kasrat sy parne se Rozi mein Azafa hota hai.

Jumma ke din ka Wazifa

Ajj ka Wazifa Allah ke names ka Wazifa Hai.Aura wasy be Allah ke names mein bohat power hai.Bohat takat hai.agr pory yakeen sy Allah ko oss ke names se pokara jay.aur pher manga jay tyo Allah zror ata karta hai.Allah kabi be apny bandy ki oss dua ko rad nahi karta hai.Allah tyo khud bandy sy kahta hai.Ay bandy tyo mary dar par ae kar tyo dakh nazr e Jabi juka kar tyo dakh.Mein atta na karon tyo kahna.

Jumma ke din Wazifa parne ke Tarika

App nay Jumma ke din Namaz e Asar ada karne ke bad osi jaga bath kar 313 Martba                   (YA ALLAHU,YA REHMANU,YA RAHEEMU) parna hai.In 3no Names ko aktha par kar ak Taswar krna hai.aur in ke awal aur akhar 3,3 Martba DROOD E IBRAHIMI lazmi parna hai.Jab app ka Wazifa Mukmal ho jay tyo ap nay apny maqsad keliye apni Hajat ke liye Allah se DUa amngni hai.Inshallah app ko apny maqsad mein Zror kamyabi mily ge/

Wazifa parne ki Mudat

App nay ya Wazifa muslsal 7 Jumma tak karna hai.Agar app ka maqsad pahly Jumma he pora ho jata hai.Tyo pher be app nay ya amal Muslsal 7 Jumma tak pora karna hai.kyon k oss kam mein bad mein be rakawat ae skti hai.iss liye agr maqsad pahly be pora ho jay tyo amal pory 7 Jumma tak he app nay karna hai.

Agr Orat ya Amal karna Chahy tyo Ase kare.

agr koi orat ya amal krna chahy tyo oss ke khas ayam ka masla hota hai.oss nay ya amal iss tariky sy krna hai.agr 3 Jumma amal kiya hai aur kahs ayam ae gy hain.tyo wazifa chord dana hai.Aur pher jab pak ho jay tyo wazifa Wahi se shoro kre jhna sy chorda tha.Yani wo oss ka 4tha Jumma ho ga.Iss tara orat apna ya Wazifa Mukmal kar skti hai.

Wazifa ke Mutalak Zrori Baat:

Wazifa app ko jasy btya hai app nay wasy he krna hai.Wazifa parne ke doran app nay kisi se be kisi kism ki koi baat nahi krni hai.Wazifa ko pory yakeen ke sath karna hai.Yakeen mein kami nahi honi chahye agr app ke yakeen mein kami ho ge tyo app ko wazifa parne ka koi fiyde nahi hai.iss amal ko khud be karne aur Sadqa ki niyat sy dosron ke sath be share karne.JAZZAK ALLAH

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *