Aslam u Alikum | Aj hum apkay sath share karnay ja rahay han Pareshani Aor Nuqsaan Se Hifazat Ka Wazifa jo ke jumma ke din ka khas wazifa hai. Allah Rab UL Izzat ke sfati naam buhat he barkat walay naam hain. Inki barkat say buhat say faiday hotay han duayein qubool hoti hain. pareshaniya dhoor hoti hain. Amaal saliha Allah ki baarghaah mein qubool hotay hain. Ghamoo say nijaat milti hai. Yani har naam ka alg alg faida hai. Har naam ki alg alg barkat aor nooraniyt hai. Allah ke zati naam ke sath sfaati naam laga dia jaye toh aor zayada barkat hoti hai.
Zindagi Mein Pareshani Aor Mushkil
Iss dunia mein har insaan ke sath koi na koi pareshani aor mushkil rehti hai. Allah ki tarf say azmaishay aati rehti hain. Aor Allah ke neik bandoo par zyda mushkilaat parti hain hain. Unki azmaish bhi saht hoti hai nuqsaan bhi ho jata. Toh humay in pareshaniyo aor mushkilaat say ghabrana nahi chahiay. Balkay Allah par twaqul kar ke inka samna karnay ki aor inko hal karnay ki koshiosh karni chahiay.
Pareshani Aor Nuqsaan Se Hifazat Ka Wazifa
Tariqa e Qaar
“YAALLAHU YABAQIU” (“يا الله يالباقى”) Yeah dono naam shab e jumma ko yani jumaraat ka din guzarnay ke baad jo raat hoti hai wo shab e jumma ki raat kehlati hai. Iss raat mein inn dono naamo ko 100 martba parha jaye. Inn dono naamo ko akathy parna aor aik shumaar karna hai. Aor awal o akhir darood e ibrahim parhy.
Raat say muraad yeah hai ke sooraj gharoob honay ke baad raat shoroo ho jati hai aor taloh e aftaab tak raat rehti hai. Ap yeah wazifa kisi bhi waqt raat ko kar saktay hain chahy esha ke baad kar lein chahy aadhi raat ko ya chahy thajud ke waqt. Aglay jumma phir isi tara wazifa karein aor isko apni zindagi ka mamol bana lein.
Wazifa Ke Fwaid
- Iss wazifa ki barkat say Allah Rabul izzat apko har tarah ke nuqsaan se mehfooz rakhay gay. Yani ke aik jumma say laykar dosray jumma tak kisi qism ka nuqsaan nahi hoga. Chahy wo karobaar ka mamla ho ya ghar ka.
- Dosra iska faida yeah hoga ke wo tmaam amaal jo hum din mein kartay hain un amaal ko qubol farmaye gay. Amal toh insaan karta hai asal baat hoti hai quboliyt ki. Aik chota sa amal bhi Allah ki barghaah mein qubool ho jaye toh wo oski magfirat ka zaria ban sakta hai.
- Agar banda sari raat Allah Allah karta rahay aor wo qubool na ho toh oska faida he koi nahi hai. Iss wazifa ki itni barkat hai ke achay amaal bhi qubool hon gay aor duayein bhi qubool hongi. Ammal e saliha ki qubooliyat ke liye Allah wale roh roh ke duayein kia karte thay.
- Aor teesra isska yeah faidha hoga ke har tarah ke ghum aor pareshani say nijaat milay gi. Oss insaan ke oper aor oskay ghar walo par aglay jumma tak koi pareshani nahi aye gi.
Inshallah iss wazifa ki barkat say apki pareshani dhoor hogi aor Nuqsan say bhi Allah rabul izzat hifazt farmaye ga. Par apko yeah wazifa Allah Pak pe poray bharosy aor tawqul ke sath parna. Kyun ke yaqeen ke bina kuch nahi milta. Allah Pak hum sabko iss par amal karnay ki tofeeq ata farmaye. (Ameen)
JAZAKALLAH