in

Ya Malikul Mulk Ka Wazifa Har Hajat Har Dua Qubool Hogi

Ya Malikul Mulk Ka Wazifa

Asslamu Alikum Aj hum apkay sath share karnay ja rahay hain Ya Malikul Mulk Ka Wazifa. Iss wazifa ki barkat o fazilat aor fwaiyd ke baray mein btayein gay. Yeah wazifa pany adar buhat si khubsurti liay howay hai. Yeah apnay andar itnay baray kmalaat, itnay baray azazat aor itnay baray mhasin liay howay hai ke banda soch bhi nahi sakta.

Ya Malikul Mulk Zul Jalali Wal Ikram Ka Wazifa

Yeah Wzifa یامالک الملک ذوالجلال والاکرام app nay Fajar ki nmaaz ke baad 100 martba parhna hai. Aor iss kay awal akhir kum az kum aik aik martba darood shareef parhna hai. Zayada app jitna chahay parh saktay hain. App teen martba, 5 martba, 7 martba ya 11 martba bhi parh saktay hain. Jitna apka dill chahay. Lakin kum az kum aik aik martba zaroor parhna hai.

Phir app iss kay kamalaat ko dekhtay jayein, iski khubsorti ko dekhtay jayein. Jaha qadam barhayein gay Allah ki madad apkay sath hogi. Jis say koi mamla karein gay oss mein khero barkat aye gi. Koi bhi kaam karein gay apko pareshani nahi hogi.

Iss wazifa ki barkat say koi bhi kaam itna khero barkat wala hoga ke ap sochay gay mein toh koi cheez bhi nahi tha, mein toh haqeer sa banda tha muje Allah nay itni izzat dhay di. Itni traqi dhy di, itna galba dhay dia. itna malo dolat dhay dia. Joh bhi neik soch app sochay gay app ko wohi milay ga. App matti ko haath dalay gay wo sona ban jaye gi. Lakin iss ke liay yaqeen bhi chahiay.

Dolat Mand Banne Ka Wazifa, Maal Aor Rizq Ki Frawani

Kamil Yaqeen

Sari baat Allah par kamil yaqeen aor tawaqul ki hai. Yaqeen ke bina kuch bhi nahi hoga. Mukamil aor mazboot yaqeen ke baad hi sab kuch milay ga. Jiss tara Hazrat Ibrahim(A.S) ka Allah par yaqeen tha. Agar app pooray yaqeen ke sath yeah wazifa karein gay toh iska faida apki soch say bhi zayda hoga. Allah Paak hum sabko iss par amal karnay ki tofeeq ata farmaye. Inshallah appki har hajat aor dua qubool hogi. (Amee)

JAZAKALLAH

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *