in

Dolat Mand Banne Ka Wazifa, Maal Aor Rizq Ki Frawani

Dolat Mand Banne Ka Wazifa Maal Aor Rizq Ki Frawani

Aslam u Alikum ! Ajj hum app ke Sath Dolat Mand Banne Ka Wazifa aor dolat mand hone ka wazifa share karne gay. Iss dunia mein har banda yeah chahta hai ke mje izzat ki rozi milay kisi qism ki pareshani tangi na milay. Har pareshani aor har tangi say mukamal meri hifazt rahay. Yeah kaam Allah ke haath mein hain apki hifazt Allah nay karni hai. Lakin Allah say mangnay ka bhi aik tariqa hota hai. Aik dhung hota hai.

Jab Allah say ajzi naor inkisari say banda talb karta hai toh Allah osko zaroor ata farmatay hain. agar app yaqeeni tor par yeah chahtay hain ke baizzat rozi milay aor woh bhi halaal aor pakeeza milay aor kushaada milay toh yeah wazifa dhyaan say parhein.

Wazifa Aor Tariqa E Adaigee

Appnay har jummeraat ke din “YA ALLAHU YA GHANIYU” ( یا اللہ yeah wazifa appnay 1000 martba parhna hai. Poora din hai appkay pass. Din sooraj ke talooh honay say lay kar sooraj ke gharoob honay tak hai. Iss pooray din jis wqt marzi parhy. Beith ke parhy ya chaltay phirtay parhy, ba wazoo parhy ya wazzo ke bina parhy har tara say ijazt hai.

Lakin iss baat ka khyal rakhein ke jab bhi parhein pooray dhyaan ke saath parhy. Poori tawajo ke sath apnay iss wazifa ko parhna hai. Isskay awal akhir teen teen martba Darood e Ibrahim bhi parh lein. Darood e ibrahim jiss wazifa ya dua ke awal akhir parha jaye oss dua aor wazifa ke qubool honay mein koi shuq nahi reh jata. Iss liay darood e paak hum her dua aor wazifay ke sath btatay hain.

Iss wazifa ko agar koi karobari dokaandar shahz likh kar apnay galay mein rakh lay toh iss say heirobarkat hogi. Iss wazifa ko har jummeraat ke din parna mamol bna lein. Inshallah kisi qism ki tangdast nahi hogi.

Darrod E Paak Ki Fazilat

App (PBUH) nay bhi Darood e Paak parhnay ki taqeed farmai hai. Balkay Adam(A.S) nay apnay akhri waqt yeah taqeed farmai ke agar tumhy koi bhi hajt ho toh ALLAH say maang laina aor agar tumhari dua qubool na ho toh Hazrat Mohammad(PBH) par Darood e Paak parh laina. Hala ke tab Nabi Pak(PBUH) dunia mein tashreef nahi tahy laye.

Baat Manwane Ka Wazifa Jaisa App Chaho Waisa He Hoga

Wzifa Ki Maloomaat

Kuch log pochtay hain ke agar koi wazifa shoroo kia jaye aor kisi waja say choot jaye toh kya os pay ghunaah hoga?Allah ki narazgi aor Nuqsaan hoga? Unn ke liye yeah maloomaat hai ke gunaah sirf farz cheezon par hai. Jaisay ke 5 waqt ki nmaaz, Ramzan ul mubarak ke rozay, Hujj agar karny ki taqat aor maal hai toh inn chezoon ko chornay pay gunaah hai aor Allah ki saht narazgi.

Nafli ibadaat ko karnay mrin swaab hai lakin chornay mein koi gunaah nahi hai. Allah Paak hum sabko amal karnay ki tofeeq ata farmaye. (Ameen)

JAZAKALLAH

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *