Aaj hum aap k sath ,Surah Yaseen ka jo wazifa share karon ga is ki berkat se, Insha ALLAH apki har ek jayaz hajat chahe kitni se kitni hi mushkil kyu na ho saat hi roz mein hal ho jayegi. Agar koi murad mangi hogi to mil jayegi. Agar 7 saath roz mein apko nazar nahi aye to na-ummid zara bhi na hoye. Balki ye soche ke jald hi wo hajat apki puri hogi, ya fir ho chuki hai bas apke samne ana baki hai.
Surah Yaseen ki Fazilat
Surah Yaseen Quran Pak ki Nahayat Afzel surah hai. Is k phernay ki talqeen hadees sharef mien b i hai. Hazur (Sallelaho Aaliyehi Wasallum) ne fermaya her cheez ka dill hota hai Quran Mujeed ka dill Surah Yaseen hai. Is liye Surah Yaseen ko Qur’an Majeed ka Dil bhi kaha jata hai.
Bimari se Shifa ke Liye Surah Yaseen ka Pur Asar Amal
Haris bin Usama ne Hadees Shareef ko naqal kiya hai ke Surat Yaseen ko rozana tilawat karne se ek khauf zadah insan ko aman milega. Beemar ko marz se shif’a milegi. Bhookhe ko ALLAH ki janib se pait bharne ka saamaan milega. Gharz, har pareshani ka hal is Mubarak Surat ki tilawat mein maujud hai.
Dushman ki Zuban Bandi ke Liye Taqatwar Amal
Agar kisi shakhs ke ek ya zyadah dushman hai. Aur use un se khatra mehsoos hota ho. Wo chahta hai ke un sab se uski jan ko hifazat mile. To esi surat mein rozana bila nagah kam-az-kam ek martaba Surat Yaseen ki talawat karna mufeed sabit hoga Insha ALLAH. tamam qism ke dushmanu se hifazat milay. Ameen
Surah Yaseen ka Wazifa
Is Wazifa mie aap ne Qari Sahib k Bataye gay is khas tareeqe k mutabiq surah Yaseen peehni hai. Suarh ko pertay huway aap ne jahan per lafz “Mubeen” ana hai wahan per rukna hai aur phir se surah ko shuro kerna hai aur ab dusri daafa b lafz “Mubeen” rukna hai. Surah Yaseen mien total 7 Mertaba ye lafz aata hai.
Wazifa ka Tareeqa
Ap chahe to apni sahuliyat ke liye saato mubeen ek copy mein likh sakte hai jo niche diye hue hai. Ya fir ap esa bhi kar sakte hai ke Qur’an-e-Pak mein saaton mubeen par ap highlighter se nishan laga de. Isse apko yad rahega ke apko kin-kin jagho (mubeen) par rukna hai, aur her bar 11 bar ( Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) parhna hai.
Taza wuzu ke saath saat martaba Durood-e-Ibraheemi parhiye;
- Fir Yaseen Shareef parhiye pahle Mubeen phahiye, Ab 11 bar ( Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye;
- Fir se Sura Yaseen shuru se parhiye
- Is bar dusre mubeen tak, Ab 11 bar parhiye (Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye;
- Fir se Yaseen Shareef shuru se parhiye
- Is bar teesre mubeen tak, Ab 11 bar parhiye (Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye ;
- Fir se Yaseen Shareef shuru se parhiye
- Is bar chauthe mubeen tak, Ab 11 bar parhiye ‘(Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye;
- Fir se Yaseen Shareef shuru se parhiye
- Is bar paanchve mubeen tak, Ab 11 bar parhiye (Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye;
- Fir se Yaseen Shareef shuru se parhiye
- Is bar chhathe 6 mubeen tak, Ab 11 bar parhiye (Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye;
- Fir se Yaseen Shareef shuru se parhiye
- Is bar saatvein 7 mubeen tak, Ab 11 bar parhiye (Ya Allah hu, Ya Arahmanu, Ya Rahemu) yaha rukiye;
- Fir se Yaseen Shareef shuru se parhiye
Is bar kahin na rukiye aur Yaseen Shareef ko mukammal parh lijiye aakhir tak. Yani is bar jo parhiye wo shuru se lekar aakhir tak puri Yaseen Shareef parhenge.
Awal-O-Aakhir Darude shreef(drude Ibraheemi) 1, 1 mertaba lazmi parna hai.Wazifa pure yakeen or Dua ki Qubuliat k yaqeen k k sath, dill lga ker tawjo k sath parhna hai.Is tara se Sura Yaseen ko parnay se muskal se mushkal kam b halho jaye ga.