in

Namaz E Fajar ki Fazilat Or Ahmiyat ! Fajar ke Nmaaz Ke Fawaiyd

Namaz e Fajr ki Fazilat or Ahmiyat

Aaj hum app ke sath Namaz e Fajr ki Fazilat or Ahmiyat share krne ja rahy hain Fajar ki namaz ki Ahmiyat Barkat or Fayde bohat ziyada hain Qurani Wazaif tyo app ke sath bohat share kiye hain mgr ajj namaz ki fazilat app ke sath share krne gy fajar ki namaz parne waly ka chehra hmyshan roshan rahta hai noor brsta hai namaz fajr time par parni chahye yan namaz e fajar parhnay ke fawaid app ko tabi hon gy.

 Namaz Ka Hukam

Jesa k hum jantay hein k Namaz aik Farz ibadat hai aur qiamat k din sab se pehla sawal b Namaz k bare mien hi pucha jaye ga. Allah Tallah ne Quran pak mein saat soo se b zaid daffa namaz perne ka hukqam dia hai. Insan k tamam achay aamal namaz k bad hi Qubul Hotay hein.

Hadees-e-Mubarika hai k: Namaz Moman ki Miraaj hai. Rasul Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad fermaya:” Namaz Moman ki Miraaj, Aankhun ki Rahat aur Dill ka Sakun hai”

 Namaz Fajar Ki Fazilat or Ahmiyat

Namaz e Fajar chehrun ka noor aur dill ka sakun hai.Jis ne fajar ki namaz aada ki wo din ber Allah ki Hifazat mien rehta hai.

Hazat Ayesha (R.A) se riwyat hai k Nabi Pak ( Sallallahu Alaihi Wasallam) ne fermaya: “Namaz e Fajar ki 2 Raqatay (Suntay) dunia aur is mien mojud tamam cheezu se behter hein”

Hadese Mubarika mien hai k : Agr logun ko Fajar Aur Ishaa ki namaz ka sawab malum ho jaye  to wo apne Gutnun k bal gistay huway Masjid tak aaye”

Namaz e Fajar K Fawaiyd

Namaz aik esi ibadat hai jis k latadad fawaid hein, ager bat kare namaze Fajar k Fawaid ki to is ki adaygee insan ko dinber shetan se dur rakhti hai. Namaze Fajar se din ka aagaz din ki pehli Fatah hoti hai jis k sabab aasanyian or kamyabyian insan ka muqader ban jati hein.Fajar ki namaz bajamat aada kerny k bad Reezqa-e-Halaal ki talash kerne wala insan Allah k nazdeek pasendeeda benda hota hai, aur us k liye Reezaq k darwazey khol diye jate hein.

Namaz e Fajar k bare mien Rasul Pak(Sallallahu Alaihi Wasallam ) ne fermaya:” Namaz e Fajer  aada kerne kerne waly k chehray ko Allah Shahadaun jesa Nor Aata kerta hai”

Namaz-e-Fajar Ki Adaigee

Quran mein b tamam Farz namazu ka muqarara waqat per adaaigee ka hukam hai.  Namaz e Fajar ko b waqat per aada kernay se hi iska lutaf aur is k rohani o jismani fawaid hasal hotay hein.

Arshad-e-Nabvi(Sallallahu Alaihi Wasallam ) hai: “Jo shakhas Namaz ko aachi tara aada kerta hai,to namaz us k liye duaye kerti hai k Allay! isi  tara teri b hifazet fermaye jis tara tu ne meri Hifazet ki hai”

Namaz ki darust adaaigee ke liye apne zehn mien ye khayal rakhna chahiya ke jese ye hamari Aakhri namaz ho aur ho skta is k bad zindgee moqa hi na de Allah k hazur khare honay ka. Nama e fajar k waqat sotay rehne se muasherti hum aahangee per aaser perta hai,Q k ajsam kayenat ki neelagiy (falqy) taqat se mehrom ho jatay hein. Rizaq mien bebarqati aur tangee aa jati hai, chehra beronaq ho jata hai. Lahaza, masalsal, namaz e fajar Qaza perney wala shakhas b inhi logun mein shamal ho jata hai.Saari dunia fatah ker lene se behter hai k Namaz e Fajar waqat per adaa ki jaye.

Allah hum sabko Nmaaz parnay ki tofeeq ata farmaye. (Ameen)

JAZAKALLAh!

This post was created with our nice and easy submission form. Create your post!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *