Nabi pak nay frmya 5 Kam isan ko kamyab bnaty hain Successful Man
in

Successful Man | 5 Kam jo Insan ko Kamyab bnaty hain

Aslam u Alikum ! Mary piyary bahio aur bahon Ajj mein app ke sath Successful Man banne ke liye 5 Asy kam share karon ga Jo hmary piyary Nabi Hazrat Muhammad (PBUH) Nay Sahaba Karam ko btay thy.Agr Insan in 5 kamo par amal kar lay tyo wo Duniya mein be kamyab aur akhrat mein be kamyab ho jay ga.

How to Become Successful Man in Life:

Hazrat Muhammad (PBUH) nay Hazrat Ans (R.A) se frmiya: Ay Ans Rozana 5 Kam kar liya karo.Duniya mein be kamyab ho jao gy aur Akhrat mein be.Hazrat Ans (R.A ) Farmaty thy ke many Hazrat Muhammad ke pas 10 Sal Guzary Lakin unhon nay mujy kabi be nahi danta tha.Kabi be mary sath gussy mein baat nahi ki thi.

5 Kam jo Insan ko kamyab bnaty hain / Successful Man

1- Jab Wazu Karo tyo achy tariky sy kiya karo Iss sy Umar mein Azafa hota hai.aur dosra iss ka bara fiyda insan ke jism ke jis jis hisy par Wazu ka pani lagta hai.Allah osi hise key Gunahon jo jar data hai.

  1. Har ak ke Sath Salam kiya karo Iss se Nakiyon mien Azafa hota hai.Agr 2 Sahaba akthy Jaty aur Rasty mein koi Darkht ae jata tyo ak Drkht ke pechy sy ae kar dosry Sahaba sy Salam lata.iss liye jo be mily bara yan Chota oss sy Salam liya karo.Tumhari Nakion mien Azafa hoga.Aur Tum Successful man Ban jao gy.

  1. Jab Ghar mein Dakhal howa karo tyo Salam kiya karo Chahy tmhary Samany koi ho yan na ho.Iss sy Ghar mein Allah ki khas Rahmat hoti hai.Allah ka khas Karam hota hai.Aur Har Jaga Success milti hai.iss amal ko zror apni zindgi ka mamul bna lo kyon ke ghar mein jinnat wgara be hoty hain.

  1. Bakidgi sy Chasht ki Namaz para karo.Iss sy Rizq mein Azafa hota hai.Chasht ki Namaz ka Wqat Suraj niklny ke 2 ganty bad shoro hota hai.Aura Zawal ke Wqat tak rahta hai.Chasht ki Namaz ke 4 Nwafil hoty hain.Rizq mein barkat ke liye aur kamyabi ke liye Zror para karny.

5.Choton ke Sath Mohabbat aur Shafqat say pash aya karo aur baron ka adab kiya karo.Qiyamat ke din hmary sath khary hon Baio aur Bahon ko Muslman hai jo ya nahi chahta ke qiyamat ke din un ka sath Nabi pak ke Sath ho.

Successful Man:

Tyo mary piyary baio aur bahno ya thy wo 5 Kam jo Hmary piyary Nabi Hazrat Muhammad (PBUH) nay Hazrat Ans (R.A) ko btiya ya kam Sirf Hazrat Ansa ke liye he Nahi balky Successful Man Banne ke liye pori ummat ke liye thy.Hum Sab ko In Kamon par Amal kar ke apni zindgi ko kamyab bnana chahye Duniya mein be aur Akhrat mein be.

Zrori Baat:

Allah se Dua hai ke Allah Pak in 5 kamon par mujy be aur app tmam bion ko bahno ko amal ki tofeeq day.aur in ke sath sath 5 Waqat Namaz parny ki tofeeq day.Baio aur Bahon Achi baat ko dosron ke Sath Share karna be Ak Sadqa jariya hai.Iss liye Sadqay ki niyat say iss amal ko Dosron ke Sath Zror Share karny.JAZZAK ALLAH

2 Comments

Leave a Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *