in

Kya Bismillah(بسم الله الرحمن الرحيم) ki Jagha 786 likha Ja Sakta Hai !

Ajj hum app ke sath ak bohat he zrori Information share krne ja rahy hain kya Bismilah Ki Jaga 786 Likha Ja Sakta Hai? Iss swal ko lae kr bohat halchal si machi hoi hai ajj hum app ko 786 ki haqiqat btayein gay or ye be btayein gay ke kya islam iss ki ijazat deta hai? Kya shriyat main ye jayz hai? Iss video ko pora dakhiye ga zror  Bismillah or 786 mian kya frq hai?.

Bismillah Ki Ahmiyat O Barkat

Jaisay ke hm sab jantay han ke Bismillah ki buhat zyda ahmiyt aor barkat hai. Hum har kaam karnay se pehlay  بسم الله الرحمن الرحيم partay han aor iss se kaam main hero barkat aa jati hai.

Nabi Pak(PBUH) Ka Farmaan

Nabi Pak(PBUH) ne Her kaam karnay se pehlay Bismillah parnay ka hukum dia hai. Aor farmaya kaam Bismillah paray bina bhi ho jaye ga lakin wo kaam naqis hoga. Aor kherobarkat se khali hoga.

Kya 786 Bismillah ki jaga likha ja sakta hai ! کیا بسم اللہ کی جگہ 786 لکھا جا سکتا ہے

Kya Bismilah Ki Jaga 786 Likha Ja Sakta Hai? Yeah baat qabilay gor hai ke humaray Pakistan ke andar Hindustan mein aor Bangladesh mein بسم الله الرحمن الرحيم ke adad nikalay han 786. Theek hai adad toh wo nikal gay aor 786 Bismillah ke adaad ho gay lakin yeah kisi sorat bhi بسم الله الرحمن الرحيم ka nemulbadal nai ho saktay. Jo inn arbi alfaaz ke andar nooraniyt hai wo adaad ke andar nahi ho sakti. In adaad ke parnay se wo darjaat aor swaab apko nahi mill sakta jo بسم الله الرحمن الرحيم parnay se milta hai.

Aksar koi aisi zheez milay kiskay oper 786 likha ho toh log os pay hazaroo ropay harch kar detay han ke yeah bari barket wali hai. Hala ke in adaad se wo barkat nai hasil hoti jo Rehman Aor Raheem ki dho kamil sifaat main hai.

Isi tara aksar log hatoot likhnay se pehlay 786 likhty, ghariyo ke oper bhi likhwaya hota aor kaam shoroo karnay se pehly bhi 786 par kar mutmaien ho jatay han. Ke humay wo ajar wo inaam wo sila mill gya jo بسم الله الرحمن الرحيم parnay se milta hai. Yeah hergiz nahi ho sakta.

Koi bhi adaad ya haroof Quran E Pak ke kisi bhi lafz ke nemulbadal nahi ban saktay.Wo muqaam yeah adaad aor haroof nahi lay saktay. Jo Allah ne Quran E Pak aor Bismillah ke andar taqat rakhi hai.

Bismillah Ki Fazilat

Hadees mein ata hai ke jo 19 martba Subo بسم الله الرحمن الرحيم par lay Allah osko jhanum se bchata hai aor jo raat ko 19 martba بسم الله الرحمن الرحيم par lay osko bhi jhanum se bchata hai kyyun jo iss halat mein din ko wafaat paa gya wo bhi jhanum se azaad aor jo raat ko iss halt mei mar gya wo bhi jhanum se bach jaye ga. Iss baat se Bismillah ki fazilt ka andaza lgaya ja sakta hai.

Hadees

Hadees mein yeah aya hai ke jo kuch pooray Quran E Pak ke anadar hai wo Allah Pak  ne Sura e Fatyah ke andar darj kar dia hai.Aor jo kuch Sura e Fatyah ke andr hai wo بسم الله الرحمن الرحيم mein majood hai. Aor jo kuch بسم الله الرحمن الرحيم ke andar hai wo isi ب ke andar hai.

Quraniyt aor azmat in alfaaz ke andar hai. Iss tara ke adaad aor haroof Quraan Pak ki kisi ayt ya lafz ke mutbadal nahi hotay. Agar yeah adaad ko baisay barkat aor rehmat samjtay han toh phir apnay naam ko kyun nai baisay barkat aor rehmat samjtay!

Example

Phir hmy chahiaye ke hm apnay namo ke bhi adaad nikal ke un naamo se pokaray. Jasay kisi ka naam M. Bashir hai toh agar oskay adaad 347 niklty toh osy 347 pokarna chahiay jo ke hm acha nai samjaty. Toh phir kasay Qurani Alfaaz ke adaad ko hm baisay barkat samj lay.

Yeah chezien zyda tar Misar mein raij thi aor ab tak chali aa rahi han. Lakin yeah baat apnay zehn mein bitha lein ke بسم الله الرحمن الرحيم ke koi akfaaz mutbadal nahi.

Allah hum sako بسم الله الرحمن الرحيم parnay ki tofeeq ata farmaye. (Ameen)

JAZAKALLAH!

This post was created with our nice and easy submission form. Create your post!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *